top of page

 

Poem 6 Talash

 

( This one is the HINDI version written with English alphabets.)

    
Koi hoor nahin koi pari nahin,
Na koi gota or koi jarri nahi;
Saadi si bholi si nirmal si vo,
Is fareb or chal-kapat ki duniya se pare ho;
Dekhoon usse to bas Dil bhar jaaye,
Mile jo nain, to jhuk jaaye;
Yuhin dekh ke jab vo sharmaaye,
Samay sa maano thamm jaye;
Khadi-khadi vo jab yoon lehraaye,
Armaano ka samunder sa beh jaaye;
Anjaane mein, naino se nain jo takraaye,
Mud-khad uhin vo ghabraaye;
Jisse dekh aandhi bhi theher jaaye,
Sookhe patton mein rooh vo bhar jaaye;
Bheegi aankhein bhi mann muskaaye,
Patjhad mein saavan ke khaab vo dikhlaaye;
Jayein jitna door utna paas bulaaye,
Bawander se is jahan mein aisa tinka koi kaise dhoond paaye;

Or Byaan kya karoon, uski saadgi ko,
Uski nirmalta ko ya uski maujudagi ko;
Resham se lehraate uske keshon ko,
Ya Man mehkate uske veshon ko;
Rooh bhaari uski boli ko sunaun,
Ya Andehre mein shama si jalti uski mehak ko batlaoon;
Na jaane kya karron or kya karr jaoon,
Khud ko dhoondon ya usmein gum ho jaoon;
Khuda, ek hi hasrat ek hi chah hai meri,
Bas ek baar deedar karoon fir tugh mein sama jaun;

Aashiqi mein doobe vo aashiq bhi dheke,
Shabdon ke baandh todte vo shayar bhi dekhe;
Lau mein jalte un parvaano se hall bhi dekhe,
Tajalli mein tadapte mausiki ke masal bhi dekhe;
Berang is jahan mein khilte vo gulab bhi dekhe,
Dilon ke saudagar, rooh ke kangaal bhi dekhe;
Dillagi ki dasttan , jo dil khol kar sunaate the,
Dekhe ya to vo sikasth ya unke bas majaar hi dekhe;

Dar nahin humein aashiqui mein doob jaane se,
Koi mile to sahi saadgi ki moorat, parre is jamane se;
Tyaar baithe hein hum to chott khane ko,
Shikasth ho jaane ko khud ko lutaane ko;
Khuda bhi na rok paaye bas teri aahat ho ek aane ki,
Jaljala ladein hum, baat hi kya is jamane ki;
anjaan se tere us falsafe pe, khuda se bhidd jauu mein,
Mera vajood hi kya teri aankhon ka vo ek aansu na rok paaon mein;
Maksad hi mera tughe paane ka tughe uthaane ka,
Vo parvana hi to hoon mein or to lau meri;
Tere paas aane ka or jal jaane ka.

 

---------X-X-X-X--------

bottom of page