
Poem 5 : Halt-e-Bayaan
​
( This one is HINDI version written with english alphabets.)
Na gummm ho zindagi ki kasmkash mein;
Na rakh khud ko dusron ki bandish mein;
Na khel khud se gairon ki rangish mein;
Asaan hai zindagi mein gamme bahara;
Asan nahin khud se mukhatib dobara;
Baksh de usko hai ye teri rehmat;
Tu chahe jahan bhi par mile hai kismat;
Baarish ki boondon ki nahi hai keemat;
Samet use jab tak na bane hai panghat;
Ujalon mein aap ko bhool Jane mein;
Nahin sukoon chandni mein usko panne mein;
Laazmi nahin khushiyan is jamane mein;
Zindagi hai mili na bita ise tehkhane mein;
Maan le khud ko tu hai khuda ki barkat;
Varna mehfil to roj sajti hai mehkhane mein.
Motivation : Influenced by mother role in kapoor and sons movie, watched on 7-Aug-2016.
Behind Story: She was surrounded by the mishappenings brought by her son and husband. At end all she did was to forgive both to continue as being a happy family.
​
=============================================