
Poem 9 - Inteha
​
( This one is HINDI-URDU version written with english alphabets.)
​
​
Aee khuda, kyun tune is bande ko banaya;
Kar rehmat, kyun berehem hona sikhaya;
Dil to diya, kyun deke usse maum sa banaya;
Gair ki qasd mein doobakar, kyun apno ko raundna sikhaya;
Rahgujar to bahut bheje tune is safar mein;
Par kyun kisi humrahi-humsafar se na milaya;
Suna hai bhool jate hain log khud ko apni qurbat mein;
Kyun is ehsaas se mughe mehroom rakhvaya;
Hazroon ke hajoom mein khada kar tune;
Kyun fir meri tanhyi ka makhaul udaya;
Jaan lag jati hai mehboob tak apni ashiqi pauhchane mein;
Kyun bas ek mohum si hasi dekar, unhone mudke dekhne ka takalluf bhi na uthaya;
Khud ko luta kar, humne jinhe ishq ka aina dikhaya;
Kyun pathar dil banakar tune unhe todna sikhaya;
Aae khuda-ae khuda kyun tune ye ishq ki chaal chal dali,
Din mein shama, raatein chaka-chaundh kar dali;
Lage to the do shabd unki adayat pe likhne;
Kyun likhte-likhte puri kavayat likha dali;
Qalaq nahin humein apni aashiqui pe,
Bas malaal is baat ka hai;
Tune rang kisi or ke dikhake, tasveer kisi or ki bana dali.
​
Motivation : A little chat with the ALIMIGHTY.
Shabdkosh:
​
Qasd: intention,wish
Qurbat: nearness, relationship, aashiqui
Qalak: regret, pain
Malaal: regret, grief, sorrow
=============================================